Hogi na kam juloos-e-Hussain ki Zeb-o-Zain, Likheinge hum Alam kay Pharairay pe Ya Hussain!
Sun Kar Ye Ism-e-Pak Nahi Zaalimo ko Chaiyn, Un se Na mit Sakay Ga Gham-e-Shah-e-Mashraqain!

Lekin Tamam Zulm-o-Shaqawat kay Bawajood…

Hum Ya Hussain Ya Hussain Kartay Raheinge! Islam Pe Hum Martay Rahay Martay Raheinge!

Eik Karbala hai Aaj bhi seeno kay darmiyaan, Ruktay Nahi hai Majlis-o-Matam kay Kaarwaan!
Kitni Aziyatein hain Magar Har Taraf yahan, Ab bhi Hussainiat ka Mukhalif hai ye Jahan!

Lekin Tamam Zulm-o-Shaqawat kay Bawajood…

Hum Ya Hussain Ya Hussain Kartay Raheinge! Islam Pe Hum Martay Rahay Martay Raheinge!